dar-parda kis dawa se jibillat badal gai
dar-parda kis davā se jibillat badal ga.ī
bachche baḌe hue to zarūrat badal ga.ī
bāzār meñ galī meñ qadam phūñk kar rakho
ab har jagah kī sharh-e-sharāfat badal ga.ī
gumnām the to bātoñ meñ un kī ḳhulūs thā
shohrat milī to sūrat-e-hālat badal ga.ī
patthar jo pheñkte ho hamāre makān par
kyā shīshe kī tumhārī imārat badal ga.ī
barsoñ ke tajribe kā ḳhulāsa yahī to hai
añgḌā.ī lī zarā to hukūmat badal ga.ī
qātil pahuñchte kaifar-e-kirdār tak magar
saare gavāhoñ kī hī shahādat badal ga.ī
pahle to ḳhush-mizāj the 'anjum' batā.iye
uftād kyā paḌī ki vo aadat badal ga.ī
dar-parda kis dawa se jibillat badal gai
bachche baDe hue to zarurat badal gai
bazar mein gali mein qadam phunk kar rakho
ab har jagah ki sharh-e-sharafat badal gai
gumnam the to baaton mein un ki KHulus tha
shohrat mili to surat-e-haalat badal gai
patthar jo phenkte ho hamare makan par
kya shishe ki tumhaari imarat badal gai
barson ke tajribe ka KHulasa yahi to hai
angDai li zara to hukumat badal gai
qatil pahunchte kaifar-e-kirdar tak magar
sare gawahon ki hi shahadat badal gai
pahle to KHush-mizaj the 'anjum' bataiye
uftad kya paDi ki wo aadat badal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.