dar pe tere pukar ki fariyaad
dar pe tere pukar ki fariyaad
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
dar pe tere pukār kī fariyād
sam.a tū ne na yaar kī fariyād
nahīñ suntā hai lāla-rū merā
is dil-e-dāġhdār kī fariyād
aah suntā hai kab vo rashk-e-bahār
ham ne go ab hazār kī fariyād
dekh us rashk-e-gul ko juuñ bulbul
maiñ ne be-iḳhtiyār kī fariyād
hijr meñ tere merī āñkhoñ ne
ro ro jyuuñ ābshār kī fariyād
roz sunte haiñ ham ḳhizāñ meñ aah
bulbuloñ se bahār kī fariyād
sharar-e-garm ishq par jal ke
dil ne ispand-vār kī fariyād
kaun suntā hai kis se jā kahiye
is dil-e-be-qarār kī fariyād
nāla-e-zār ko mire sun kar
ne niiñ ho dil-figār kī fariyād
rāh-e-ulfat meñ maiñ ne har dil chaak
rāh-e-ulfat meñ maiñ ne ho dil chaak
jyuuñ jaras baar baar kī fariyād
gul ne bulbul kī sun lī sun tū bhī
apne mahjūr-e-zār kī fariyād
uff na halq-e-burīda ne kī mire
ḳhanjar-e-ābdār kī fariyād
ho gayā ḳhaak par kisī se na kī
maiñ ne us shahsavār kī fariyād
kyā 'jahāñdār' arz kartā hai
suniyo is ḳhāksār kī fariyād
dar pe tere pukar ki fariyaad
sama tu ne na yar ki fariyaad
nahin sunta hai lala-ru mera
is dil-e-daghdar ki fariyaad
aah sunta hai kab wo rashk-e-bahaar
hum ne go ab hazar ki fariyaad
dekh us rashk-e-gul ko jun bulbul
main ne be-iKHtiyar ki fariyaad
hijr mein tere meri aankhon ne
ro ro jyun aabshaar ki fariyaad
roz sunte hain hum KHizan mein aah
bulbulon se bahaar ki fariyaad
sharar-e-garm ishq par jal ke
dil ne ispand-war ki fariyaad
kaun sunta hai kis se ja kahiye
is dil-e-be-qarar ki fariyaad
nala-e-zar ko mere sun kar
ne nin ho dil-figar ki fariyaad
rah-e-ulfat mein main ne har dil chaak
rah-e-ulfat mein main ne ho dil chaak
jyun jaras bar bar ki fariyaad
gul ne bulbul ki sun li sun tu bhi
apne mahjur-e-zar ki fariyaad
uff na halq-e-burida ne ki mere
KHanjar-e-abdar ki fariyaad
ho gaya KHak par kisi se na ki
main ne us shahsawar ki fariyaad
kya 'jahandar' arz karta hai
suniyo is KHaksar ki fariyaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.