daraKHt raat parindon ke kan bharne lage
daraḳht raat parindoñ ke kaan bharne lage
isī liye to vo ūñchī uḌaan bharne lage
isī liye vo hamāre ḳhilāf ho gayā hai
ḳhudā ke kaan ka.ī be-zabān bharne lage
falak se toḌ ke laate rahe sitāroñ ko
unhīñ sitāroñ se phir āsmān bharne lage
mire harīfoñ kā itnā hī mas.ala hai unheñ
mire ḳhilāf mire mehrbān bharne lage
hamārā vaqt bhī ab vo nahīñ rahā lekin
tumhārā dam bhī ka.ī naujavān bharne lage
ajiib haal zarā.at kā kar liyā ham ne
zamīn bech ke āḳhir lagān bharne lage
na.e sire se kahānī vo saañs lene lagī
ham is kahānī meñ lafzoñ se jaan bharne lage
hamārā ishq bhī sīdhā thā āriza dil kā
tumhāre husn se puurī dukān bharne lage
koī bhī fard barāmad huā na bastī se
ajiib ḳhauf se ḳhālī makān bharne lage
daraKHt raat parindon ke kan bharne lage
isi liye to wo unchi uDan bharne lage
isi liye wo hamare KHilaf ho gaya hai
KHuda ke kan kai be-zaban bharne lage
falak se toD ke late rahe sitaron ko
unhin sitaron se phir aasman bharne lage
mere harifon ka itna hi masala hai unhen
mere KHilaf mere mehrban bharne lage
hamara waqt bhi ab wo nahin raha lekin
tumhaara dam bhi kai naujawan bharne lage
ajib haal zaraat ka kar liya hum ne
zamin bech ke aaKHir lagan bharne lage
nae sire se kahani wo sans lene lagi
hum is kahani mein lafzon se jaan bharne lage
hamara ishq bhi sidha tha aariza dil ka
tumhaare husn se puri dukan bharne lage
koi bhi fard baramad hua na basti se
ajib KHauf se KHali makan bharne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.