dard-amez hai kuchh yun meri KHamoshi bhi
dard-āmez hai kuchh yuuñ mirī ḳhāmoshī bhī
raas aatī nahīñ mujh ko ye ḳhirad-poshī bhī
kaisī hairat hai ki ik maiñ hī na behosh rahā
kyā ta'ajjub hai ki chhātī nahīñ madhoshī bhī
yaad kā kaun sā 'ālam hai ki maiñ martā huuñ
aur zinda hai mirā ḳhvāb-e-farāmoshī bhī
kis kī āñkhoñ kā nasha hai ki mire hoñToñ ko
is qadar tar nahīñ kar saktī balā-noshī bhī
maiñ kināra bhī karūñ ḳhud se to mumkin hai kahāñ
ki na ho tere ta'alluq se ham-āġhoshī bhī
dard-amez hai kuchh yun meri KHamoshi bhi
ras aati nahin mujh ko ye KHirad-poshi bhi
kaisi hairat hai ki ek main hi na behosh raha
kya ta'ajjub hai ki chhati nahin madhoshi bhi
yaad ka kaun sa 'alam hai ki main marta hun
aur zinda hai mera KHwab-e-faramoshi bhi
kis ki aankhon ka nasha hai ki mere honTon ko
is qadar tar nahin kar sakti bala-noshi bhi
main kinara bhi karun KHud se to mumkin hai kahan
ki na ho tere ta'alluq se ham-aghoshi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.