dard aisa ki dawa ho jaise
dard aisā ki davā ho jaise
aaj kuchh had se sivā ho jaise
tundī-e-bād-e-havādis tauba
aap kī koī adā ho jaise
phir vahī shaḳhs mire parde meñ
in dinoñ naġhma-sarā ho jaise
ik diyā koī jalā jaatā hai
dil mazār shuhadā ho jaise
koī lauTā na salāmat ab tak
vo galī koh-e-nidā ho jaise
kuuch kā vaqt hai jaago 'jābir'
har-nafas bāñg-e-darā ho jaise
dard aisa ki dawa ho jaise
aaj kuchh had se siwa ho jaise
tundi-e-baad-e-hawadis tauba
aap ki koi ada ho jaise
phir wahi shaKHs mere parde mein
in dinon naghma-sara ho jaise
ek diya koi jala jata hai
dil mazar shuhada ho jaise
koi lauTa na salamat ab tak
wo gali koh-e-nida ho jaise
kuch ka waqt hai jago 'jabir'
har-nafas bang-e-dara ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.