dard apna tha to is dard ko KHud sahna tha
dard apnā thā to is dard ko ḳhud sahnā thā
na kisī aur se dukh apnā kabhī kahnā thā
ġhalatī kī ki muravvat meñ musībat jhelī
zulm bardāsht hī karnā thā na chup rahnā thā
ashk ban kar jo na bahtā to ragoñ meñ bahtā
kisī sūrat se lahū thā to use bahnā thā
shub.h hotā thā ki hai rañg-e-badan yā malbūs
be-libāsī thī libās us ne kahāñ pahnā thā
maiñ jo mar jā.ūñ to sab log kaheñge 'āzar'
itnī bosīda imārat thī ise Dhahnā thā
dard apna tha to is dard ko KHud sahna tha
na kisi aur se dukh apna kabhi kahna tha
ghalati ki ki murawwat mein musibat jheli
zulm bardasht hi karna tha na chup rahna tha
ashk ban kar jo na bahta to ragon mein bahta
kisi surat se lahu tha to use bahna tha
shubh hota tha ki hai rang-e-badan ya malbus
be-libasi thi libas us ne kahan pahna tha
main jo mar jaun to sab log kahenge 'azar'
itni bosida imarat thi ise Dhahna tha
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 94)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.