dard aur ranj ki rahon ka musafir nikla
dard aur ranj kī rāhoñ kā musāfir niklā
apnī hī kokh se rotā huā shā.ir niklā
diin aur dharm ke jhagḌe meñ huā thā jo shahīd
bhuuk aur pyaas kā maarā huā kāfir niklā
ilm-o-dānish kā falak koī nahīñ koī nahīñ
jo musavvir thā vo shahkār-e-musavvir niklā
imtihāñ aag meñ jal kar use denā hī paḌā
huā tārīḳh kī lanka meñ jo gum phir niklā
dard aur ranj ki rahon ka musafir nikla
apni hi kokh se rota hua shair nikla
din aur dharm ke jhagDe mein hua tha jo shahid
bhuk aur pyas ka mara hua kafir nikla
ilm-o-danish ka falak koi nahin koi nahin
jo musawwir tha wo shahkar-e-musawwir nikla
imtihan aag mein jal kar use dena hi paDa
hua tariKH ki lanka mein jo gum phir nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.