dard baDhta hai to lagta hai dawa sab kuchh hai
dard baḌhtā hai to lagtā hai davā sab kuchh hai
maiñ use kaise batā.ūñ vo mirā sab kuchh hai
ye alag baat kahīñ naam na aayā us kā
maiñ ne jis shaḳhs ke baare meñ likhā sab kuchh hai
dil usī shaḳhs se ik aas lagā baiThā hai
jis ke dāman meñ mohabbat ke sivā sab kuchh hai
raat kohrām machāyā thā charāġhoñ ne bahut
ye koī bol na paayā ki huā sab kuchh hai
dard baDhta hai to lagta hai dawa sab kuchh hai
main use kaise bataun wo mera sab kuchh hai
ye alag baat kahin nam na aaya us ka
main ne jis shaKHs ke bare mein likha sab kuchh hai
dil usi shaKHs se ek aas laga baiTha hai
jis ke daman mein mohabbat ke siwa sab kuchh hai
raat kohram machaya tha charaghon ne bahut
ye koi bol na paya ki hua sab kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.