dard ban ke dil mein aaya kijiye
dard ban ke dil meñ aayā kījiye
hausloñ ko āzmāyā kījiye
ham ḳhayāl-e-yār meñ jaagā kareñ
din chaḌhe tak aap soyā kījiye
dekhiye ab zabt kī hālat nahīñ
tirchhī nazroñ se na dekhā kījiye
har tamannā ḳhvāb ban kar rah ga.ī
ab kisī kī kyā tamannā kījiye
pahle thā 'parvez' dil kā ġham tumheñ
jaan ko ab apnī royā kījiye
dard ban ke dil mein aaya kijiye
hauslon ko aazmaya kijiye
hum KHayal-e-yar mein jaga karen
din chaDhe tak aap soya kijiye
dekhiye ab zabt ki haalat nahin
tirchhi nazron se na dekha kijiye
har tamanna KHwab ban kar rah gai
ab kisi ki kya tamanna kijiye
pahle tha 'parwez' dil ka gham tumhein
jaan ko ab apni roya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.