dard-e-dil dard-e-jigar achchha laga
dard-e-dil dard-e-jigar achchhā lagā
lams-e-dast-e-chāra-gar achchhā lagā
dard uTThā jhuum kar achchhā lagā
terā shāna merā sar achchhā lagā
jis ke saa.e meñ milā karte the ham
baaġh meñ tanhā shajar achchhā lagā
terī ḳhalvat terī mahfil ḳhuub hai
terā kūcha terā ghar achchhā lagā
muskurā ke dil liyā phir kho ga.e
aap kā ye bhī hunar achchhā lagā
Dar ke mere siine se lagnā tirā
mausam-e-barq-o-sharar achchhā lagā
talḳhiyoñ se unsiyat hone lagī
sāqiyā mai kā asar achchhā lagā
maiñ thā vo the aur thī ra.anā.iyāñ
ġhāliban 'tābish' safar achchhā lagā
dard-e-dil dard-e-jigar achchha laga
lams-e-dast-e-chaara-gar achchha laga
dard uTTha jhum kar achchha laga
tera shana mera sar achchha laga
jis ke sae mein mila karte the hum
bagh mein tanha shajar achchha laga
teri KHalwat teri mahfil KHub hai
tera kucha tera ghar achchha laga
muskura ke dil liya phir kho gae
aap ka ye bhi hunar achchha laga
Dar ke mere sine se lagna tera
mausam-e-barq-o-sharar achchha laga
talKHiyon se unsiyat hone lagi
saqiya mai ka asar achchha laga
main tha wo the aur thi ranaiyan
ghaaliban 'tabish' safar achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.