dard-e-dil ka kise karun izhaar
dard-e-dil kā kise karūñ iz.hār
ġham-e-hijrat ba-jān-e-man bisyār
nargisī chashm ko kahāñ pā.ūñ
jise taskīñ ho ḳhātir-e-afgār
rakhkhūñ apnā kafan silāne ko
pā.ūñ gar mū-e-zulf kā yak-tār
baaqī armāñ rahā ba-dil afsos
jaan jaatī hai yaar yaar pukār
sanamā zālimāñ satā le aa
muntazir koī dam rahā be-shumār
dekhnā dekh le dikhā sūrat
varna phir maiñ kahāñ kahāñ tū yaar
'āfrīdī' girā ba-chāh-e-zanaḳh
māh-e-kan.ān kī tarah lāchār
dard-e-dil ka kise karun izhaar
gham-e-hijrat ba-jaan-e-man bisyar
nargisi chashm ko kahan paun
jise taskin ho KHatir-e-afgar
rakhkhun apna kafan silane ko
paun gar mu-e-zulf ka yak-tar
baqi arman raha ba-dil afsos
jaan jati hai yar yar pukar
sanama zaliman sata le aa
muntazir koi dam raha be-shumar
dekhna dekh le dikha surat
warna phir main kahan kahan tu yar
'afridi' gira ba-chah-e-zanaKH
mah-e-kanan ki tarah lachaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.