dard-e-dil ki dawa kare koi
dard-e-dil kī davā kare koī
ye nahīñ to duā kare koī
aarzū hai jafā kare koī
ho na ye bhī to kyā kare koī
ye ishāre haiñ kis qadar ḳhāmosh
in kī tafsīr kyā kare koī
jo bhī hai dil kā haal zāhir hai
vo na samjheñ to kyā kare koī
arz-e-matlab pe bhī vo barham haiñ
kis tarah iltijā kare koī
ik zamāne se dushmanī le kar
kyoñ kisī se vafā kare koī
baat terī bajā hai ai nāseh
dil na maane to kyā kare koī
lab pe aatī nahīñ hai dil kī baat
merā matlab adā kare koī
zabt-e-ġham sheva-e-mohabbat hai
kyoñ jafā kā gila kare koī
jis ko bhī dekhiye vo hai be-mehr
kyā kisī se gila kare koī
vo ḳhud apnī jafā pe nādim haiñ
un se ab kyā gila kare koī
merī jān-e-hazīñ hai mushkil meñ
aa hī jaa.e ḳhudā kare koī
dil-e-nādāñ ke sau taqāze haiñ
bebasī ho to kyā kare koī
ai 'kañval' ab yahī tamannā hai
ham se ahd-e-vafā kare koī
dard-e-dil ki dawa kare koi
ye nahin to dua kare koi
aarzu hai jafa kare koi
ho na ye bhi to kya kare koi
ye ishaare hain kis qadar KHamosh
in ki tafsir kya kare koi
jo bhi hai dil ka haal zahir hai
wo na samjhen to kya kare koi
arz-e-matlab pe bhi wo barham hain
kis tarah iltija kare koi
ek zamane se dushmani le kar
kyon kisi se wafa kare koi
baat teri baja hai ai naseh
dil na mane to kya kare koi
lab pe aati nahin hai dil ki baat
mera matlab ada kare koi
zabt-e-gham shewa-e-mohabbat hai
kyon jafa ka gila kare koi
jis ko bhi dekhiye wo hai be-mehr
kya kisi se gila kare koi
wo KHud apni jafa pe nadim hain
un se ab kya gila kare koi
meri jaan-e-hazin hai mushkil mein
aa hi jae KHuda kare koi
dil-e-nadan ke sau taqaze hain
bebasi ho to kya kare koi
ai 'kanwal' ab yahi tamanna hai
hum se ahd-e-wafa kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.