Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-e-dil ki dawa kare koi

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

dard-e-dil ki dawa kare koi

Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi

    dard-e-dil davā kare koī

    mere haq meñ duā kare koī

    suraḳh-rū is tarah bhī hote haiñ

    ḳhūn-e-dil ko hinā kare koī

    sabr ye hai ki uf na ho lab par

    laakh jaur-o-jafā kare koī

    majma-e-ām meñ akelā huuñ

    dard merā sunā kare koī

    roz-e-raushan bane shab-e-hijrāñ

    chaak band-e-qabā kare koī

    jo hai shaitāñ rahegā shaitāñ

    qudsiyoñ meñ rahā kare koī

    azmatoñ 'falak muqaddar ho

    sidq-e-dil se jhukā kare koī

    dard-e-dil ki dawa kare koi

    mere haq mein dua kare koi

    suraKH-ru is tarah bhi hote hain

    KHun-e-dil ko hina kare koi

    sabr ye hai ki uf na ho lab par

    lakh jaur-o-jafa kare koi

    majma-e-am mein akela hun

    dard mera suna kare koi

    roz-e-raushan bane shab-e-hijran

    chaak band-e-qaba kare koi

    jo hai shaitan rahega shaitan hi

    qudsiyon mein raha kare koi

    azmaton ka 'falak muqaddar ho

    sidq-e-dil se jhuka kare koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now