dard-e-dil ki unhen KHabar na hui
dard-e-dil kī unheñ ḳhabar na huī
koī tadbīr kārgar na huī
koshisheñ ham ne kiiñ hazār magar
ishq meñ ek mo'tabar na huī
kar chuke ham ko be-gunāh shahīd
aap kī aañkh phir bhī tar na huī
nā-rasā āh-e-āshiqāñ vo kahāñ
duur un se jo be-asar na huī
aa.ī bujhne ko apnī sham-e-hayāt
shab-e-ġham kī magar sahar na huī
shab the ham garm-e-nāla-hā-e-firāq
sub.h ik āh-e-sard sar na huī
tum se kyūñkar vo chhup sake 'hasrat'
nigah-e-shauq parda dar na huī
dard-e-dil ki unhen KHabar na hui
koi tadbir kargar na hui
koshishen hum ne kin hazar magar
ishq mein ek mo'tabar na hui
kar chuke hum ko be-gunah shahid
aap ki aankh phir bhi tar na hui
na-rasa aah-e-ashiqan wo kahan
dur un se jo be-asar na hui
aai bujhne ko apni sham-e-hayat
shab-e-gham ki magar sahar na hui
shab the hum garm-e-nala-ha-e-firaq
subh ek aah-e-sard sar na hui
tum se kyunkar wo chhup sake 'hasrat'
nigah-e-shauq parda dar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.