Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard-e-dil moatabar bhi hota hai

Shareef Munawwar

dard-e-dil moatabar bhi hota hai

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1976

    dard-e-dil mo'atabar bhī hotā hai

    shaḳhsiyat asar bhī hotā hai

    kis nagar meñ qayām kartā maiñ

    kahīñ majnūñ ghar bhī hotā hai

    shahr meñ aa ke ye huā mālūm

    aadmī jānvar bhī hotā hai

    ek be-ḳhauf justujū ke saath

    ek anjān Dar bhī hotā hai

    shikva-e-dahr kyā ki dukh aksar

    apne ehsās par bhī hotā hai

    kūcha-gardo tumheñ patā hai kyā

    ek zehnī safar bhī hotā hai

    jo bahār-o-ḳhizāñ ke ġham sah jaa.e

    vahī paudā shajar bhī hotā hai

    fan se iz.hār-e-fan hai mushkil-tar

    dard-e-dil dard-e-sar bhī hotā hai

    dard-e-dil mo'atabar bhi hota hai

    shaKHsiyat ka asar bhi hota hai

    kis nagar mein qayam karta main

    kahin majnun ka ghar bhi hota hai

    shahr mein aa ke ye hua malum

    aadmi jaanwar bhi hota hai

    ek be-KHauf justuju ke sath

    ek anjaan Dar bhi hota hai

    shikwa-e-dahr kya ki dukh aksar

    apne ehsas par bhi hota hai

    kucha-gardo tumhein pata hai kya

    ek zehni safar bhi hota hai

    jo bahaar-o-KHizan ke gham sah jae

    wahi pauda shajar bhi hota hai

    fan se izhaar-e-fan hai mushkil-tar

    dard-e-dil dard-e-sar bhi hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now