dard-e-dil ne nai kasak pai
dard-e-dil ne na.ī kasak paa.ī
aap kī yaad jab kabhī aa.ī
kaun jaane jo dil pe guzrī hai
kis ne naapī hai ġham kī gahrā.ī
ab junūñ kā ḳhudā hī hāfiz hai
vahshat-e-dil ne lī hai añgḌā.ī
āshiyāne kī ḳhair ho yā-rab
phir ghaTāoñ meñ barq lahrā.ī
ashk phir aaj ho ga.e arzāñ
chhaT gayā dāman-e-shakebā.ī
karte rahte haiñ jo ġhalat tanqīd
vo samajhte haiñ us ko dānā.ī
'rāhī' pā kar surāġh manzil kā
azm meñ aa ga.ī tavānā.ī
dard-e-dil ne nai kasak pai
aap ki yaad jab kabhi aai
kaun jaane jo dil pe guzri hai
kis ne napi hai gham ki gahrai
ab junun ka KHuda hi hafiz hai
wahshat-e-dil ne li hai angDai
aashiyane ki KHair ho ya-rab
phir ghaTaon mein barq lahrai
ashk phir aaj ho gae arzan
chhaT gaya daman-e-shakebai
karte rahte hain jo ghalat tanqid
wo samajhte hain us ko danai
'rahi' pa kar suragh manzil ka
azm mein aa gai tawanai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.