dard-e-dil soz-e-jigar bhi rakhna
dard-e-dil soz-e-jigar bhī rakhnā
jis meñ saudā ho vo sar bhī rakhnā
kūcha-e-ishq meñ rakkhā hai qadam
to hathelī pe ye sar bhī rakhnā
us kī rahmat se umiid aur dil meñ
sū-e-anjām kā Dar bhī rakhnā
dil meñ paivast hue tīr-e-nazar
kaam aaya na sipar bhī rakhnā
kuuch karnā hai tumheñ bhī ik din
saath kuchh zād-e-safar bhī rakhnā
raas 'maqsūd' ḳhushī gar aa.e
ġham ke māroñ pe nazar bhī rakhnā
dard-e-dil soz-e-jigar bhi rakhna
jis mein sauda ho wo sar bhi rakhna
kucha-e-ishq mein rakkha hai qadam
to hatheli pe ye sar bhi rakhna
us ki rahmat se umid aur dil mein
su-e-anjam ka Dar bhi rakhna
dil mein paiwast hue tir-e-nazar
kaam aaya na sipar bhi rakhna
kuch karna hai tumhein bhi ek din
sath kuchh zad-e-safar bhi rakhna
ras 'maqsud' KHushi gar aae
gham ke maron pe nazar bhi rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.