dard hai ranj hai kulfat hai alam hai gham hai
dard hai ranj hai kulfat hai alam hai ġham hai
na ḳhudā saath na hamrāh sanam hai ġham hai
dar-ba-dar mujh ko zamāne meñ liye phirtā hai
ye jo paivasta mire saath shikam hai ġham hai
rāhat-e-ġham se rakhā jis ne sadā āsūda
in dinoñ vo bhī to mā.il-ba-karam hai ġham hai
ab to tā.ūs hī avval hai sināñ āḳhir hai
daur-e-hāzir meñ ye taqdīr-e-umam hai ġham hai
ahl-e-darbār se bezār thā ik tū hī 'malāl'
ab tirā sar bhī vahāñ sunte haiñ ḳham hai ġham hai
dard hai ranj hai kulfat hai alam hai gham hai
na KHuda sath na hamrah sanam hai gham hai
dar-ba-dar mujh ko zamane mein liye phirta hai
ye jo paiwasta mere sath shikam hai gham hai
rahat-e-gham se rakha jis ne sada aasuda
in dinon wo bhi to mail-ba-karam hai gham hai
ab to taus hi awwal hai sinan aaKHir hai
daur-e-hazir mein ye taqdir-e-umam hai gham hai
ahl-e-darbar se bezar tha ek tu hi 'malal'
ab tera sar bhi wahan sunte hain KHam hai gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.