dard halkā hai saañs bhārī hai
jiye jaane kī rasm jaarī hai
aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne
aap ke saath hī guzārī hai
raat ko chāñdnī to oḌhā do
din kī chādar abhī utārī hai
shāḳh par koī qahqaha to khile
kaisī chup sī chaman pe taarī hai
kal kā har vāqi.a tumhārā thā
aaj kī dāstāñ hamārī hai
dard halka hai sans bhaari hai
jiye jaane ki rasm jari hai
aap ke baad har ghaDi hum ne
aap ke sath hi guzari hai
raat ko chandni to oDha do
din ki chadar abhi utari hai
shaKH par koi qahqaha to khile
kaisi chup si chaman pe tari hai
kal ka har waqia tumhaara tha
aaj ki dastan hamari hai
- Book : Yaar Julahe (Pg. 147)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.