dard hi dard thi minnat-kash-e-darman to na thi
dard hī dard thī minnat-kash-e-darmāñ to na thī
zindagī ḳhvāb to thī ḳhvāb-e-pareshāñ to na thī
jab havā le ke chalī thī tire kūche kī taraf
mirī jānib nigarāñ gardish-e-daurāñ to na thī
zindagī shahr-e-ġhazālāñ meñ bagūloñ kī tarah
mujh se pahle mirī āvāz pe raqsāñ to na thī
har-nafas saath rahī hai mire saa.e kī tarah
aap kī yaad mirī umr-e-gurezāñ to na thī
dil dhaḌaktā hai to hālāt badal jaate haiñ
raat tak koī kalī chāk-garebāñ to na thī
tū ne duzdīda-nigāhoñ se jise dekhā thā
terī tasvīr thī tasvīr-e-gulistāñ to na thī
ḳhvāb sharminda-e-ta.abīr ka.ī the 'nashtar'
zindagī arsa-gah-e-ḳhvāb-e-ġhazālāñ to na thī
dard hi dard thi minnat-kash-e-darman to na thi
zindagi KHwab to thi KHwab-e-pareshan to na thi
jab hawa le ke chali thi tere kuche ki taraf
meri jaanib nigaran gardish-e-dauran to na thi
zindagi shahr-e-ghazalan mein bagulon ki tarah
mujh se pahle meri aawaz pe raqsan to na thi
har-nafas sath rahi hai mere sae ki tarah
aap ki yaad meri umr-e-gurezan to na thi
dil dhaDakta hai to haalat badal jate hain
raat tak koi kali chaak-gareban to na thi
tu ne duzdida-nigahon se jise dekha tha
teri taswir thi taswir-e-gulistan to na thi
KHwab sharminda-e-tabir kai the 'nashtar'
zindagi arsa-gah-e-KHwab-e-ghazalan to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.