Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard is darja mile zabt mein kaamil hua main

Navneet Sharma

dard is darja mile zabt mein kaamil hua main

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    dard is darja mile zabt meñ kāmil huā maiñ

    us ko paane talab meñ kisī qābil huā maiñ

    phone par baat huī us se to andāza huā

    apnī āvāz meñ bas aaj shāmil huā maiñ

    ro ke aksar maiñ hañsā hañs ke maiñ royā bhī agar

    zindagī tujh meñ to har rañg meñ shāmil huā maiñ

    zindagī chain sab ko bhalī lagtī hai

    kaise hālāt the mere ki jo qātil huā maiñ

    dekhnā chāhūñgā maiñ tujh ko qarīb aur is se

    aaj ke ba.ad kabhī ḳhud ko jo hāsil huā maiñ

    koī samjhe na samjhe inheñ paḌhne vaalā

    sher kah kar ye kaThin ḳhud pe maa.il huā maiñ

    dard is darja mile zabt mein kaamil hua main

    us ko pane ki talab mein kisi qabil hua main

    phone par baat hui us se to andaza hua

    apni aawaz mein bas aaj hi shamil hua main

    ro ke aksar main hansa hans ke main roya bhi agar

    zindagi tujh mein to har rang mein shamil hua main

    zindagi chain ki sab ko hi bhali lagti hai

    kaise haalat the mere ki jo qatil hua main

    dekhna chahunga main tujh ko qarib aur is se

    aaj ke baad kabhi KHud ko jo hasil hua main

    koi samjhe ya na samjhe inhen paDhne wala

    sher kah kar ye kaThin KHud pe hi mail hua main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now