dard jab ishq mein mail-ba-fughan hota hai
dard jab ishq meñ mā.il-ba-fuġhāñ hotā hai
vahī aalam to tabī.at pe garāñ hotā hai
mo.ajiza ishq kā us vaqt ayaañ hotā hai
us kī tasvīr pe jab apnā gumāñ hotā hai
ab to har bazm meñ haal apnā bayāñ hotā hai
kaun ab kis ke liye girya-kunāñ hotā hai
jab kabhī tazkira-e-gul-badnāñ hotā hai
rahguzāroñ pe bahāroñ kā gumāñ hotā hai
chāñdnī raat meñ jab hote haiñ vo mere qarīb
vahī aalam to mohabbat meñ javāñ hotā hai
kis qadar pī hai kahāñ pī hai kahāñ tak pī hai
piine vaale ko ye ehsās kahāñ hotā hai
haañ vahī 'vārsī' kahte haiñ jise aap 'azīz'
koī bhī bazm ho vo pīr-e-muġhāñ hotā hai
dard jab ishq mein mail-ba-fughan hota hai
wahi aalam to tabiat pe garan hota hai
moajiza ishq ka us waqt ayan hota hai
us ki taswir pe jab apna guman hota hai
ab to har bazm mein haal apna bayan hota hai
kaun ab kis ke liye girya-kunan hota hai
jab kabhi tazkira-e-gul-badnan hota hai
rahguzaron pe bahaaron ka guman hota hai
chandni raat mein jab hote hain wo mere qarib
wahi aalam to mohabbat mein jawan hota hai
kis qadar pi hai kahan pi hai kahan tak pi hai
pine wale ko ye ehsas kahan hota hai
han wahi 'warsi' kahte hain jise aap 'aziz'
koi bhi bazm ho wo pir-e-mughan hota hai
- Book : Mehraab (Pg. 29)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Hindustani Book Trust, Mumbai (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.