dard jab sabr ke dhaaron se nikal aae the
dard jab sabr ke dhāroñ se nikal aa.e the
phir munāfiq mire yāroñ se nikal aa.e the
laash paanī meñ paḌī dekh ke tanhā merī
ashk dariyā ke kināroñ se nikal aa.e the
dekh ke āñkh-micholī ko chaman meñ us din
daf.atan phuul bahāroñ se nikal aa.e the
maiñ ne āvāz lagā.ī thī mohabbat le lo
log ujlat meñ qatāroñ se nikal aa.e the
mere aaqā kī risālat kī gavāhī ke liye
mo.ajize chāñd sitāroñ se nikal aa.e the
dard jab sabr ke dhaaron se nikal aae the
phir munafiq mere yaron se nikal aae the
lash pani mein paDi dekh ke tanha meri
ashk dariya ke kinaron se nikal aae the
dekh ke aankh-micholi ko chaman mein us din
dafatan phul bahaaron se nikal aae the
main ne aawaz lagai thi mohabbat le lo
log ujlat mein qataron se nikal aae the
mere aaqa ki risalat ki gawahi ke liye
moajize chand sitaron se nikal aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.