dard jab shaeri mein Dhalte hain
dard jab shā.erī meñ Dhalte haiñ
dil meñ har-sū charāġh julte haiñ
koī shai ek sī nahīñ rahtī
umr Dhaltī hai ġham badalte haiñ
jo nahīñ māñgtā kisī se kuchh
shahr ke log us se jalte haiñ
us kī manzil judā hamārī judā
aaj go saath saath chalte haiñ
lucknow shā.erī sharāb junūñ
rishte sau tarah ke nikalte haiñ
dard jab shaeri mein Dhalte hain
dil mein har-su charagh julte hain
koi shai ek si nahin rahti
umr Dhalti hai gham badalte hain
jo nahin mangta kisi se kuchh
shahr ke log us se jalte hain
us ki manzil juda hamari juda
aaj go sath sath chalte hain
lucknow shaeri sharab junun
rishte sau tarah ke nikalte hain
- Book : Soch Samajh (Pg. 46)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.