dard ka dard se darman karte
dard kā dard se darmāñ karte
yuuñ ilāj-e-ġham-e-jānāñ karte
ham agar fikr-e-gulistāñ karte
roz dāman ko garebāñ karte
ghar kī vīrānī se fursat na milī
varna ham sair-e-bayābāñ karte
kitnā arzāñ hai ġharīboñ kā lahū
aap to roz charāġhāñ karte
dil umañD aayā thā baiThe baiThe
kaise andāza-e-tūfāñ karte
dil kā ḳhuun aañkh tak aa hī jaatā
aap kuchh zikr-e-gulistāñ karte
umr guzrī hai hamārī 'ehsās'
ḳhātir-e-shām-e-ġharībāñ karte
dard ka dard se darman karte
yun ilaj-e-gham-e-jaanan karte
hum agar fikr-e-gulistan karte
roz daman ko gareban karte
ghar ki virani se fursat na mili
warna hum sair-e-bayaban karte
kitna arzan hai gharibon ka lahu
aap to roz charaghan karte
dil umanD aaya tha baiThe baiThe
kaise andaza-e-tufan karte
dil ka KHun aankh tak aa hi jata
aap kuchh zikr-e-gulistan karte
umr guzri hai hamari 'ehsas'
KHatir-e-sham-e-ghariban karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.