dard ka gahra samundar aur main
dard kā gahrā samundar aur maiñ
zindagī kā sar pe patthar aur maiñ
is taraf shīshe hī shīshe aur vo
us taraf patthar hī patthar aur maiñ
hai yahī ahd-e-junūñ kī yādgār
ek kūcha ek patthar aur maiñ
TuuT jaane ko haiñ sab jām-o-subū
ek laġhzish ek Thokar aur maiñ
ban gayā tārīḳh kā ḳhūnīñ varaq
pusht meñ paivast ḳhanjar aur maiñ
ye musallas ahd kī tārīḳh hai
ek qātil ek ḳhanjar aur maiñ
ye musallas dekh kyā laatā hai rañg
merā sar merā hī patthar aur maiñ
dard ka gahra samundar aur main
zindagi ka sar pe patthar aur main
is taraf shishe hi shishe aur wo
us taraf patthar hi patthar aur main
hai yahi ahd-e-junun ki yaadgar
ek kucha ek patthar aur main
TuT jaane ko hain sab jam-o-subu
ek laghzish ek Thokar aur main
ban gaya tariKH ka KHunin waraq
pusht mein paiwast KHanjar aur main
ye musallas ahd ki tariKH hai
ek qatil ek KHanjar aur main
ye musallas dekh kya lata hai rang
mera sar mera hi patthar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.