dard ka karobar chhoD chale
dard kā kārobār chhoḌ chale
ham dil-e-dāġh-dār chhoḌ chale
pyaas par dastaras rahī jin kī
vo sar-e-regzār chhoḌ chale
chhoḌne ke liye jo kuchh na rahā
rāh-e-parvardigār chhoḌ chale
mujh ko pāmāl dekh kar yaksar
log be-iḳhtiyār chhoḌ chale
ham rahe aise zāviye jis ko
saare naġhma-nigār chhoḌ chale
dard ka karobar chhoD chale
hum dil-e-dagh-dar chhoD chale
pyas par dastaras rahi jin ki
wo sar-e-regzar chhoD chale
chhoDne ke liye jo kuchh na raha
rah-e-parwardigar chhoD chale
mujh ko pamal dekh kar yaksar
log be-iKHtiyar chhoD chale
hum rahe aise zawiye jis ko
sare naghma-nigar chhoD chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.