Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ka mere yaqin aap karen ya na karen

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

dard ka mere yaqin aap karen ya na karen

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi

    dard mere yaqīñ aap kareñ na kareñ

    arz itnī hai ki is raaz charchā na kareñ

    laakh ġhāfil sahī par aise bhī ham kor nahīñ

    ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ārā na kareñ

    aql-o-dānish se to kuchh kaam na niklā apnā

    kab tak āḳhir dil-e-dīvāna kahnā na kareñ

    vo nigāheñ ajab andāz se haiñ ishva-farosh

    ġham-e-pinhāñ ko hamāre kahīñ rusvā na kareñ

    tere āshufta-sar aise bhī nahīñ saudā.ī

    ki dil-o-dīñ ke liye zulf saudā na kareñ

    maiñ ne behūda tavaqqo sazā paa.ī hai

    kuchh ḳhayāl aap mirī hasrat-e-dil na kareñ

    mere armānoñ ko kaash itnī samajh ho 'vahshat'

    ki un āñkhoñ se muravvat taqāzā na kareñ

    dard ka mere yaqin aap karen ya na karen

    arz itni hai ki is raaz ka charcha na karen

    lakh ghafil sahi par aise bhi hum kor nahin

    ki chaman dekh ke zikr-e-chaman-ara na karen

    aql-o-danish se to kuchh kaam na nikla apna

    kab tak aaKHir dil-e-diwana ka kahna na karen

    wo nigahen ajab andaz se hain ishwa-farosh

    gham-e-pinhan ko hamare kahin ruswa na karen

    tere aashufta-sar aise bhi nahin saudai

    ki dil-o-din ke liye zulf ka sauda na karen

    main ne behuda tawaqqo ki saza pai hai

    kuchh KHayal aap meri hasrat-e-dil ka na karen

    mere armanon ko kash itni samajh ho 'wahshat'

    ki un aankhon se murawwat ka taqaza na karen

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-336 E342)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now