dard ka silsila nikal aaya
dard kā silsila nikal aayā
zaḳhm se rābta nikal aayā
log hañsnā na bhuul jaa.eñ kahīñ
soch kar masḳharā nikal aayā
ab nahīñ mas.ala mujhe koī
ye nayā mas.ala nikal aayā
shak yaqīñ meñ badal gayā jis din
jeb se ḳhat tirā nikal aayā
roTiyāñ señkne siyāsat kī
har koī rahnumā nikal aayā
laḌkiyāñ be-vafā nahīñ hotīñ
ye sunā qahqaha nikal aayā
dard ka silsila nikal aaya
zaKHm se rabta nikal aaya
log hansna na bhul jaen kahin
soch kar masKHara nikal aaya
ab nahin masala mujhe koi
ye naya masala nikal aaya
shak yaqin mein badal gaya jis din
jeb se KHat tera nikal aaya
roTiyan senkne siyasat ki
har koi rahnuma nikal aaya
laDkiyan be-wafa nahin hotin
ye suna qahqaha nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.