dard ka surmai saman le ja
dard kā surma.ī samāñ le jā
apne hamrāh kārvāñ le jā
hogā mashkūr shīsha-e-ehsās
raah se sang-e-sargirāñ le jā
gard-ālūd ye zamīñ de de
sāf-o-shaffāf āsmāñ le jā
jism yuuñ hī rahegā sho.ala-vash
par lapaktā huā dhuāñ le jā
mujh ko sone de us ke kūche meñ
jumla āsā.ish-e-jināñ le jā
terā pyāsā zamīr tar hogā
merī sūkhī huī zabāñ le jā
'qudsī' shādāñ huuñ ḳhushk retoñ par
shauq se bahr-e-be-karāñ le jā
dard ka surmai saman le ja
apne hamrah karwan le ja
hoga mashkur shisha-e-ehsas
rah se sang-e-sargiran le ja
gard-alud ye zamin de de
saf-o-shaffaf aasman le ja
jism yun hi rahega shoala-wash
par lapakta hua dhuan le ja
mujh ko sone de us ke kuche mein
jumla aasaish-e-jinan le ja
tera pyasa zamir tar hoga
meri sukhi hui zaban le ja
'qudsi' shadan hun KHushk reton par
shauq se bahr-e-be-karan le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.