dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe
dard kam hone lagā aao ki kuchh raat kaTe
ġham kī mī'ād baḌhā jaao ki kuchh raat kaTe
hijr meñ āh-o-bukā rasm-e-kuhan hai lekin
aaj ye rasm hī duhrāo ki kuchh raat kaTe
yuuñ to tum raushnī-e-qalb-o-nazar ho lekin
aaj vo mo'jiza dikhlāo ki kuchh raat kaTe
dil dukhātā hai vo mil kar bhī magar aaj kī raat
usī be-dard ko le aao ki kuchh raat kaTe
dam ghuTā jaatā hai afsurda-dilī se yaaro
koī afvāh hī phailāo ki kuchh raat kaTe
maiñ bhī be-kār huuñ aur tum bhī ho vīrān bahut
dosto aaj na ghar jaao ki kuchh raat kaTe
chhoḌ aa.e ho sar-e-shām use kyuuñ 'nāsir'
use phir ghar se bulā laao ki kuchh raat kaTe
dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe
gham ki mi'ad baDha jao ki kuchh raat kaTe
hijr mein aah-o-buka rasm-e-kuhan hai lekin
aaj ye rasm hi duhrao ki kuchh raat kaTe
yun to tum raushni-e-qalb-o-nazar ho lekin
aaj wo mo'jiza dikhlao ki kuchh raat kaTe
dil dukhata hai wo mil kar bhi magar aaj ki raat
usi be-dard ko le aao ki kuchh raat kaTe
dam ghuTa jata hai afsurda-dili se yaro
koi afwah hi phailao ki kuchh raat kaTe
main bhi be-kar hun aur tum bhi ho viran bahut
dosto aaj na ghar jao ki kuchh raat kaTe
chhoD aae ho sar-e-sham use kyun 'nasir'
use phir ghar se bula lao ki kuchh raat kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.