dard karta hai safar aankh ke andar ki taraf
dard kartā hai safar aañkh ke andar kī taraf
ashk girte haiñ magar aañkh ke andar kī taraf
jis se kuchh log guzarte haiñ sar-e-qariya-e-jāñ
kahīñ khultā hai vo dar aañkh ke andar kī taraf
dil ke pātāl meñ sau dard nazar ā.eñge
jhāñk kuchh aur magar aañkh ke andar kī taraf
tū ne mizhgāñ pe jahāñ naam likhā dekhā thā
usī kūche meñ hai ghar aañkh ke andar kī taraf
mere dil se vo kabhī jā nahīñ saktā bāhar
koī aa jaa.e agar aañkh ke andar kī taraf
jā nikaltī hai kisī or jahāñ meñ 'tāriq'
dil kī ik rāhguzar aañkh ke andar kī taraf
dard karta hai safar aankh ke andar ki taraf
ashk girte hain magar aankh ke andar ki taraf
jis se kuchh log guzarte hain sar-e-qariya-e-jaan
kahin khulta hai wo dar aankh ke andar ki taraf
dil ke patal mein sau dard nazar aaenge
jhank kuchh aur magar aankh ke andar ki taraf
tu ne mizhgan pe jahan nam likha dekha tha
usi kuche mein hai ghar aankh ke andar ki taraf
mere dil se wo kabhi ja nahin sakta bahar
koi aa jae agar aankh ke andar ki taraf
ja nikalti hai kisi or jahan mein 'tariq'
dil ki ek rahguzar aankh ke andar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.