dard ke itab le dost use shumar kar
dard ke itaab le dost use shumār kar
ḳhuun kā hisāb de zaḳhm iḳhtiyār kar
dhuup bechtā huuñ maiñ din meñ aa gayā huuñ maiñ
chāñd ke savād meñ ek shab guzār kar
yaad se rihā na ho raat se judā na ho
niiñd se ḳhafā na ho ḳhvāb intizār kar
chāndnī mudām ho raushnī tamām ho
vasl meñ qayām ho hijr meñ dayār kar
aaj ruuh aur dil ek zulm se ḳhajil
yaar aadmī se mil sarhadeñ utaar kar
dard ke itab le dost use shumar kar
KHun ka hisab de zaKHm iKHtiyar kar
dhup bechta hun main din mein aa gaya hun main
chand ke sawad mein ek shab guzar kar
yaad se riha na ho raat se juda na ho
nind se KHafa na ho KHwab intizar kar
chandni mudam ho raushni tamam ho
wasl mein qayam ho hijr mein dayar kar
aaj ruh aur dil ek zulm se KHajil
yar aadmi se mil sarhaden utar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.