dard ke samne daulat nahin dekhi jati
dard ke sāmne daulat nahīñ dekhī jaatī
jañg meñ sirf ġhanīmat nahīñ dekhī jaatī
sar meñ saudā ho to fursat nahīñ dekhī jaatī
dil ke kāmoñ meñ suhūlat nahīñ dekhī jaatī
naqd-e-jāñ bech dī ham ne tire va.ade ke evaz
maal achchhā ho to qīmat nahīñ dekhī jaatī
sochnā mat kabhī anjām sar-e-rāh-e-talab
dāman-e-teġh pe qismat nahīñ dekhī jaatī
ham se chup rahne kī bil-farz ḳhatā ho bhī jaa.e
dāman-e-harf pe tohmat nahīñ dekhī jaatī
dard ke samne daulat nahin dekhi jati
jang mein sirf ghanimat nahin dekhi jati
sar mein sauda ho to fursat nahin dekhi jati
dil ke kaamon mein suhulat nahin dekhi jati
naqd-e-jaan bech di hum ne tere wade ke ewaz
mal achchha ho to qimat nahin dekhi jati
sochna mat kabhi anjam sar-e-rah-e-talab
daman-e-tegh pe qismat nahin dekhi jati
hum se chup rahne ki bil-farz KHata ho bhi jae
daman-e-harf pe tohmat nahin dekhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.