dard KHamosh raha TuTti aawaz rahi
dard ḳhāmosh rahā TūTtī āvāz rahī
merī har shaam tirī yaad kī hamrāz rahī
shahr meñ jab bhī chale ThanDī havā ke jhoñke
tapte sahrā kī tabī'at baḌī nā-sāz rahī
aa.ine TuuT ga.e aks kī sachchā.ī par
aur sachchā.ī hamesha kī tarah raaz rahī
ik na.e moḌ pe us ne bhī mujhe chhoḌ diyā
jis kī āvāz meñ shāmil mirī āvāz rahī
suntā rahtā huuñ buzurgoñ se maiñ aksar 'tāhir'
vo samā'at hī rahī aur na vo āvāz rahī
dard KHamosh raha TuTti aawaz rahi
meri har sham teri yaad ki hamraaz rahi
shahr mein jab bhi chale ThanDi hawa ke jhonke
tapte sahra ki tabi'at baDi na-saz rahi
aaine TuT gae aks ki sachchai par
aur sachchai hamesha ki tarah raaz rahi
ek nae moD pe us ne bhi mujhe chhoD diya
jis ki aawaz mein shamil meri aawaz rahi
sunta rahta hun buzurgon se main aksar 'tahir'
wo sama'at hi rahi aur na wo aawaz rahi
- Book : Kashkol (Pg. 47)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.