dard ki diwar sar tak aa gai
dard kī dīvār sar tak aa ga.ī
dil kī bīnā.ī nazar tak aa ga.ī
ret par naqsh-e-qadam ko DhūñDhtī
zindagī shām-o-sahar tak aa ga.ī
raushnī kā rañg phīkā paḌ gayā
tīrgī dīvār-o-dar tak aa ga.ī
sub.h chamkī yā koī taarā girā
chāñdnī sī mere ghar tak aa ga.ī
aur hoñge jin ko manzil mil ga.ī
justujū tark-e-safar tak aa ga.ī
band darvāze pe khaTkā sā huā
baat itnī sī ḳhabar tak aa ga.ī
raat ke pichhle pahar yādoñ kī dhuup
dhyān ke būḌhe shajar tak aa ga.ī
us kā naam aayā to kaliyāñ khil uThīñ
baat phir shams-o-qamar tak aa ga.ī
dard ki diwar sar tak aa gai
dil ki binai nazar tak aa gai
ret par naqsh-e-qadam ko DhunDhti
zindagi sham-o-sahar tak aa gai
raushni ka rang phika paD gaya
tirgi diwar-o-dar tak aa gai
subh chamki ya koi tara gira
chandni si mere ghar tak aa gai
aur honge jin ko manzil mil gai
justuju tark-e-safar tak aa gai
band darwaze pe khaTka sa hua
baat itni si KHabar tak aa gai
raat ke pichhle pahar yaadon ki dhup
dhyan ke buDhe shajar tak aa gai
us ka nam aaya to kaliyan khil uThin
baat phir shams-o-qamar tak aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.