dard ki had se guzare to sabhi jaenge
dard kī had se guzāre to sabhī jā.eñge
jald yā der se maare to sabhī jā.eñge
sirf maiñ hī nahīñ bāzār kī mandī kā shikār
jeb meñ le ke ḳhasāre to sabhī jā.eñge
naddiyāñ lāshoñ ko paanī meñ nahīñ rakhtī haiñ
taireñ yā Dūbeñ kināre to sabhī jā.eñge
chāhe kitnī bhī bulandī pe chalā jaa.e koī
āsmānoñ se utāre to sabhī jā.eñge
masjideñ sab ko bulātī haiñ bhalā.ī kī taraf
aa.eñ na aa.eñ pukāre to sabhī jā.eñge
dard ki had se guzare to sabhi jaenge
jald ya der se mare to sabhi jaenge
sirf main hi nahin bazar ki mandi ka shikar
jeb mein le ke KHasare to sabhi jaenge
naddiyan lashon ko pani mein nahin rakhti hain
tairen ya Duben kinare to sabhi jaenge
chahe kitni bhi bulandi pe chala jae koi
aasmanon se utare to sabhi jaenge
masjiden sab ko bulati hain bhalai ki taraf
aaen na aaen pukare to sabhi jaenge
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 61)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.