dard ki had se guzarna to abhi baqi hai
dard kī had se guzarnā to abhī baaqī hai
TuuT kar merā bikharnā to abhī baaqī hai
paas aa kar mirā dukh-dard baTāne vaale
mujh se katrā ke guzarnā to abhī baaqī hai
chand sheroñ meñ kahāñ Dhaltī hai ehsās kī aag
ġham kā ye rañg nikharnā to abhī baaqī hai
rañg-e-rusvā.ī sahī shahr kī dīvāroñ par
naam 'rāshid' kā ubharnā to abhī baaqī hai
dard ki had se guzarna to abhi baqi hai
TuT kar mera bikharna to abhi baqi hai
pas aa kar mera dukh-dard baTane wale
mujh se katra ke guzarna to abhi baqi hai
chand sheron mein kahan Dhalti hai ehsas ki aag
gham ka ye rang nikharna to abhi baqi hai
rang-e-ruswai sahi shahr ki diwaron par
nam 'rashid' ka ubharna to abhi baqi hai
- Book : Junoon (Pg. 204)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.