Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ki KHushbu se ye mahka raha

Yusuf Taqi

dard ki KHushbu se ye mahka raha

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    dard ḳhushbū se ye mahkā rahā

    jab kabhī kamre meñ maiñ tanhā rahā

    umr naddī chaḌhī, utrī, ga.ī

    jism sahrā magar jaltā rahā

    din ko taptī filoñ ret par

    maiñ to abraq tarah bikhrā rahā

    raat bhar ik jism dīvār se

    maiñ calender tarah chipkā rahā

    shab palañg par hāñpte saa.e rahe

    ḳhvāb darvāze khaḌā taktā rahā

    yaad Dibbī meñ kyuuñ rakkho mujhe

    maiñ jalī tiilī huuñ, mujh meñ kyā rahā

    dard ki KHushbu se ye mahka raha

    jab kabhi kamre mein main tanha raha

    umr ki naddi chaDhi, utri, gai

    jism ka sahra magar jalta raha

    din ko tapti filon ki ret par

    main to abraq ki tarah bikhra raha

    raat bhar ek jism ki diwar se

    main calender ki tarah chipka raha

    shab palang par hanpte sae rahe

    KHwab darwaze khaDa takta raha

    yaad ki Dibbi mein kyun rakkho mujhe

    main jali tili hun, mujh mein kya raha

    Source :
    • Book : (Beesvin Sadi Main) Maghrabi Bengal Ke urdu Shora (Pg. 311)
    • Author : Mushtaq ahmed M.A
    • Publication : Iqbal Ahmad And Baradars Sayed Suleh Len Kolkata (1972)
    • Edition : 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now