dard ki raushni mein rahte hain
dard kī raushnī meñ rahte haiñ
ham zarā sādgī meñ rahte haiñ
vo mirī aañkh meñ namī kī tarah
ham bhī us kī ḳhushī meñ rahte haiñ
us se iz.hār ho nahīñ paatā
haañ nahīñ phir kabhī meñ rahte haiñ
jis meñ vo thā kabhī hamāre saath
ham usī zindagī meñ rahte haiñ
dard ki raushni mein rahte hain
hum zara sadgi mein rahte hain
wo meri aankh mein nami ki tarah
hum bhi us ki KHushi mein rahte hain
us se izhaar ho nahin pata
han nahin phir kabhi mein rahte hain
jis mein wo tha kabhi hamare sath
hum usi zindagi mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.