dard mein mere kami aa jae
dard meñ mere kamī aa jaa.e
itnā ro luuñ ki hañsī aa jaa.e
us ke hote hue bhī is dil meñ
ye na ho aur koī aa jaa.e
niiñd is shart pe aa.egī ki
ḳhvāb jhūTā hī sahī aa jaa.e
ḳhud ko āvāz duuñ maiñ phir chāhe
mere andar se tū hī aa jaa.e
pyaar us pe bhī zarā barsā do
us kī bātoñ meñ namī aa jaa.e
dard mein mere kami aa jae
itna ro lun ki hansi aa jae
us ke hote hue bhi is dil mein
ye na ho aur koi aa jae
nind is shart pe aaegi ki
KHwab jhuTa hi sahi aa jae
KHud ko aawaz dun main phir chahe
mere andar se tu hi aa jae
pyar us pe bhi zara barsa do
us ki baaton mein nami aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.