dard mera jo sirf mera ho
dard merā jo sirf merā ho
aap kis baat ke masīhā ho
jañg laḌnī ho jis ko rishtoñ se
ho vo pāgal nahīñ to phir kyā ho
vo utāre ga.e farishtoñ se
ham ko jaise zamīñ pe pheñkā ho
khīñch lete haiñ mujh ko vīrāne
jyuuñ hī merā qadam baḌhānā ho
hai dihāḌī sī zindagī apnī
roz marnā ho roz jiinā ho
dard mera jo sirf mera ho
aap kis baat ke masiha ho
jang laDni ho jis ko rishton se
ho wo pagal nahin to phir kya ho
wo utare gae farishton se
hum ko jaise zamin pe phenka ho
khinch lete hain mujh ko virane
jyun hi mera qadam baDhana ho
hai dihaDi si zindagi apni
roz marna ho roz jina ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.