dard-o-gham aaj bhi hai aah-o-fughan aaj bhi hai
dard-o-ġham aaj bhī hai āh-o-fuġhāñ aaj bhī hai
tīrgī kā vahī sailāb-e-ravāñ aaj bhī hai
ai masīhā nafso tum ko ḳhabar hai ki nahīñ
dil kī bastī se mire uThtā dhuāñ aaj bhī hai
hai ġhalat da.avā-e-mashshātgī-e-kākul-e-dahr
gesū-e-zīst pareshān yahāñ aaj bhī hai
kyoñ sar-e-shām mizha se mirī taare TuuTe
chāñdnī kā vahī pur-kaif samāñ aaj bhī hai
de ḳhabar jā ke koī shahr-e-butāñ meñ ki 'nadīm'
qadr-dān-e-sitam-e-gul-badnāñ aaj bhī hai
dard-o-gham aaj bhi hai aah-o-fughan aaj bhi hai
tirgi ka wahi sailab-e-rawan aaj bhi hai
ai masiha nafso tum ko KHabar hai ki nahin
dil ki basti se mere uThta dhuan aaj bhi hai
hai ghalat dawa-e-mashshatgi-e-kakul-e-dahr
gesu-e-zist pareshan yahan aaj bhi hai
kyon sar-e-sham mizha se meri tare TuTe
chandni ka wahi pur-kaif saman aaj bhi hai
de KHabar ja ke koi shahr-e-butan mein ki 'nadim'
qadr-dan-e-sitam-e-gul-badnan aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.