dard-o-gham ki hikayaten mat puchh
dard-o-ġham kī hikāyateñ mat pūchh
dil pe guzrī qayāmateñ mat pūchh
saarī koshish hai be-husūl tirī
zaḳhm-e-dil kī jarāhateñ mat pūchh
ik nazar meñ na jaane kyā dekhā
ham se āñkhoñ kī hairateñ mat pūchh
zarre zarre meñ hai tirī sūrat
ham se apnī shabāhateñ mat pūchh
ham ne sadiyāñ guzār diiñ is meñ
ek pal kī rifāqateñ mat pūchh
yaad karnā to hai kamāl tirā
bhuul jaane kī ādateñ mat pūchh
hai mohabbat to e'tibār bhī kar
har amal kī vazāhateñ mat pūchh
dard-o-gham ki hikayaten mat puchh
dil pe guzri qayamaten mat puchh
sari koshish hai be-husul teri
zaKHm-e-dil ki jarahaten mat puchh
ek nazar mein na jaane kya dekha
hum se aankhon ki hairaten mat puchh
zarre zarre mein hai teri surat
hum se apni shabahaten mat puchh
hum ne sadiyan guzar din is mein
ek pal ki rifaqaten mat puchh
yaad karna to hai kamal tera
bhul jaane ki aadaten mat puchh
hai mohabbat to e'tibar bhi kar
har amal ki wazahaten mat puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.