dard-o-gham sab sunane baiThe hain
dard-o-ġham sab sunāne baiThe haiñ
chheḌ apne fasāne baiThe haiñ
āshiyāñ ko jalā ke jī na bharā
ab vo ham ko jalāne baiThe haiñ
tum na the to yahāñ pe koī na thā
aaj kitne divāne baiThe haiñ
is faqīrī kī pādshāhī to dekh
farsh ko arsh maane baiThe haiñ
āstāna tirā ḳhudā kā ghar
aur ham āzmāne baiThe haiñ
dard-o-gham sab sunane baiThe hain
chheD apne fasane baiThe hain
aashiyan ko jala ke ji na bhara
ab wo hum ko jalane baiThe hain
tum na the to yahan pe koi na tha
aaj kitne diwane baiThe hain
is faqiri ki padshahi to dekh
farsh ko arsh mane baiThe hain
aastana tera KHuda ka ghar
aur hum aazmane baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.