dard phir uTha mujh mein
dard phir uThā mujh meñ
gul koī khilā mujh meñ
ek shaḳhs aaya thā
likh gayā hai kyā mujh meñ
jo nahīñ huā ab tak
phir vahī huā mujh meñ
uf mirī ye tanhā.ī
tū bhī aa milā mujh meñ
maiñ libās apnā thā
aur thā hī kyā mujh meñ
raah merī taktā hai
koī sāneha mujh meñ
kal kisī ne ghoñTā thā
merā hī galā mujh meñ
mujh se bach nikalne kā
DhūñD rāsta mujh meñ
dard phir uTha mujh mein
gul koi khila mujh mein
ek shaKHs aaya tha
likh gaya hai kya mujh mein
jo nahin hua ab tak
phir wahi hua mujh mein
uf meri ye tanhai
tu bhi aa mila mujh mein
main libas apna tha
aur tha hi kya mujh mein
rah meri takta hai
koi saneha mujh mein
kal kisi ne ghonTa tha
mera hi gala mujh mein
mujh se bach nikalne ka
DhunD rasta mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.