dard purana aansu mange aansu kahan se laun
dard purānā aañsū māñge aañsū kahāñ se lā.ūñ
ruuh meñ aisī koñpal phūTī maiñ kumhlātā jā.ūñ
mere andar baiThā koī merī hañsī uḌaa.e
ek palak ko andar jā.ūñ bāhar bhāgā aa.uuñ
saare motī jhūTe nikle saare jaadū TuuTe
merī ḳhālī āñkho bolo ab kyā ḳhvāb dikhā.ūñ
merā kaise kaam chale jab naam se kiran na phūTe
ab kyā jiine par itrā.ūñ ab kyā naam kamā.ūñ
ab bhī raakh ke Dher ke nīche sisak rahī chiñgārī
ab bhī koī jatan kare to jvālā-mukhī ban jā.ūñ
dard purana aansu mange aansu kahan se laun
ruh mein aisi konpal phuTi main kumhlata jaun
mere andar baiTha koi meri hansi uDae
ek palak ko andar jaun bahar bhaga aaun
sare moti jhuTe nikle sare jadu TuTe
meri KHali aankho bolo ab kya KHwab dikhaun
mera kaise kaam chale jab nam se kiran na phuTe
ab kya jine par itraun ab kya nam kamaun
ab bhi rakh ke Dher ke niche sisak rahi chingari
ab bhi koi jatan kare to jwala-mukhi ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.