dard tha hashr bhi hazar uThe
dard thā hashr bhī hazār uThe
sach na boleñ to rasm-e-dār uThe
ai ġham-e-ishq tujh se haar ga.e
jaan de kar bhī sharmsār uThe
jaane kis dard ke ta.alluq se
raat dushman ko ham pukār uThe
ab to us zulf kī ghaTā chhā jaa.e
dil se kab tak yūñhī ġhubār uThe
dard tha hashr bhi hazar uThe
sach na bolen to rasm-e-dar uThe
ai gham-e-ishq tujh se haar gae
jaan de kar bhi sharmsar uThe
jaane kis dard ke talluq se
raat dushman ko hum pukar uThe
ab to us zulf ki ghaTa chha jae
dil se kab tak yunhi ghubar uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.