dard Thahre to zara dil se koi baat karen
dard Thahre to zarā dil se koī baat kareñ
muntazir haiñ ki ham apne se mulāqāt kareñ
din to āvāzoñ ke sahrā meñ guzārā lekin
ab hameñ fikr ye hai ḳhatm kahāñ raat kareñ
merī tasvīr adhūrī hai abhī kyā mālūm
kyā mirī shakl bigaḌte hue hālāt kareñ
aur ik taaza ta.āruf kā bahāna DhūñDeñ
un se kuchh un ke hī baare meñ savālāt kareñ
aao do-chār ghaḌī baiTh ke ik goshe meñ
kisī mauzūa pe iz.hār-e-ḳhayālāt kareñ
dard Thahre to zara dil se koi baat karen
muntazir hain ki hum apne se mulaqat karen
din to aawazon ke sahra mein guzara lekin
ab hamein fikr ye hai KHatm kahan raat karen
meri taswir adhuri hai abhi kya malum
kya meri shakl bigaDte hue haalat karen
aur ek taza taaruf ka bahana DhunDen
un se kuchh un ke hi bare mein sawalat karen
aao do-chaar ghaDi baiTh ke ek goshe mein
kisi mauzua pe izhaar-e-KHayalat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.