darguzar jitna kiya hai wahi kafi hai mujhe
darguzar jitnā kiyā hai vahī kaafī hai mujhe
ab tujhe qatl bhī kar duuñ to muāfī hai mujhe
mas.ala aise koī hal to na hogā shāyad
sher kahnā hī mire ġham kī talāfī hai mujhe
daf.atan ik na.e ehsās ne chauñkā sā diyā
maiñ to samjhā thā ki har saañs izāfī hai mujhe
maiñ na kahtā thā davā.eñ nahīñ kaam ā.eñgī
jāntā thā tirī āvāz hī shāfī hai mujhe
is se andāza lagāo ki maiñ kis haal meñ huuñ
ġhair kā dhyān bhī ab va.ada-ḳhilāfī hai mujhe
vo kahīñ sāmne aa jaa.e to kyā ho 'javvād'
yaad hī us kī agar sīna-shigāfī hai mujhe
darguzar jitna kiya hai wahi kafi hai mujhe
ab tujhe qatl bhi kar dun to muafi hai mujhe
masala aise koi hal to na hoga shayad
sher kahna hi mere gham ki talafi hai mujhe
dafatan ek nae ehsas ne chaunka sa diya
main to samjha tha ki har sans izafi hai mujhe
main na kahta tha dawaen nahin kaam aaengi
jaanta tha teri aawaz hi shafi hai mujhe
is se andaza lagao ki main kis haal mein hun
ghair ka dhyan bhi ab wada-KHilafi hai mujhe
wo kahin samne aa jae to kya ho 'jawwad'
yaad hi us ki agar sina-shigafi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.